Jal gaya – tha ik roshniyon ka shaher

Jal gaya – tha ik roshniyon ka shaher
Bujh gaye kitnay jaltay aur adh-jalay chiragh
Magar kotwaal-i-shaher ne mur kar na dekha
Jism kis ka, khoon kahan aur maut kaisee?

Yeh qatl na tha dosto
Yeh qatl hai ik ehad ka

Yeh nohaa insaniyat ka hai
Insaniyat ka khatma karnay walay jantay nahee
Insaan marta hai – bhujta nahee
Aur insaaniyat zinda rahe gi

Ahle-hawas aur ahle-dil
Huay sab ke sab, aseer-i-shab-i-siyah
aur ham
roshniyon ke muntazir
bhujtey jugnoo-on ko dhoondtay
thakay haray

gharon ka rasta bhool gaye

Published on May 14, 2007 at 6:48 pm  Comments (1)  

The URI to TrackBack this entry is: https://razarumi.wordpress.com/jal-gaya-%e2%80%93-tha-ik-roshniyon-ka-shaher/trackback/

RSS feed for comments on this post.

One CommentLeave a comment

  1. dear sir
    plz send me many website of nohaas.


Leave a comment